Mutual fund kya hota Hai aur yah kitne tarah ke hote Hain

1
Yatlaki Academy ke ees blog mein aapka swagat hai, main hu Rahul aur aaj ees blog mein aapko samjhaunga Mutual Fund ke basics. Is blog ko phadne ke bad agar koi doubt ho to aap niche diye Gaye videos ko bhi dekh sakte hain esse aapke andar aur jyada clarity aa jaega. To chaliye ab samajhna shuru karte hain mutual fund kya hota hai aur iske kitne types hote Hain

Mutual funds ek investment vehicle hote hain jisme investors apna paisa ek sath jama karte hain, jo ek fund manager dvara various securities mein invest kiya jata hai, jaise stocks, bonds, aur other assets class mein. Ab samajhte Hain mutual fund kitne tarah ke hote Hain. Mutual funds kai tarah ke hote hain

mutual fund kitne tarah ke hote Hain

Equity funds: 

Ye funds primarily stocks mein invest karte hain, aur long-term growth ke liye suitable hote hain. Jab aap mutual fund ke equity funds mein invest karte ho to aapke paison ko fund manager share market ke companies mein invest karta hai.

Debt funds: 

Ye funds primarily bonds aur other fixed-income securities mein invest karte hain, aur stable income provide karte hain. Jab aap date fund ke mutual fund ke scheme mein invest karte ho to aapke paison ko fund manager money market instruments mein invest karta hai. Agar risk ka baat karen to date fund equity fund ke mukabale bahut Lo risk wala hota hai.

Balanced funds: 

Ye funds equity aur debt dono mein invest karte hain, aur risk ko balance karke returns generate karte hain.

Index funds: 

Ye funds specific market index ke performance ke hisab se invest karte hain, jaise Nifty 50, Sensex, S&P 500 index fund etc

Sector funds: 

Ye funds specific industry sector mein invest karte hain, jaise technology, healthcare, ya energy.

Money market funds: 

Ye funds short-term debt instruments mein invest karte hain, aur liquidity provide karte hain.

ETFs (Exchange-Traded Funds): 

Ye bhi mutual funds ki tarah hote hain, lekin stock exchange par trade hote hain aur intraday trading ke liye suitable hote hain.

Mutual funds ko aur acche se samajhne ke liye aap niche diye Gaye videos ko dekh sakte hain.

What are mutual funds? In Hindi 




What are the Types of Mutual funds ? In Hindi 




Differences between index fund and active fund





Har tarah ke mutual funds ke apne benefits aur risks hote hain, aur investors apne financial goals aur risk tolerance ke according choose karte hain.

Main asha Karta Hun ki aapane mutual fund ko acche se samjha aur uske types ko acche se samjha. Agar aap share market ke bare mein sikhna chahte Hain To aap niche diye Gaye videos ko dekh sakte hain.



Sensex or Nifty ko details mein samajhne ke liye aap niche diye Gaye videos ko dekh sakte hain.




Post a Comment

1Comments
Post a Comment